Kash Mein Door E Payamber

Kash Main Door-E-Payamber (S.A.W.W) Main Uthaya Jata

167,555 views   |   54,538 downloads   |   Published on October 1, 2018


Download 54,538 Published by Haroon Koraishy

Favourite
About Kash Mein Door E Payamber

Artist: Farhan Ali Waris

Kash Mein Door E Payamber Naat Lyrics:

کاش میں دور پیمبر ﷺ میں اٹھایا جاتا
بخدا قدموں میں سرکارﷺ کے پایا جاتا

ساتھ سرکارﷺ کے غزوات میں شامل ہوتا
انکی نصرت میں لہو میرا بہایا جاتا

ریت کے ذروں میں الله بدل دیتا مجھے
اور مجھے راه محمّدﷺ میں بچھایا جاتا

خاک ہو جاتا میں سرکارﷺ کے قدموں کے تلے
خاک کو خاک مدینہ میں ملایا جاتا

کاش اے کاش میں ہوتا کوئی ایسی لکڑی
جس کو سرکارﷺ کے ممبر میں لگایا جاتا

بُن کے لے جاتا مجھے نعت کے شعروں میں کوئی
روبرو انکے میں انکو ہی سنایا جاتا

گھاس ہی ہوتا مدینے کے گلی کوچوں کی
اور سرکارﷺ کے ناکے کو کھلایا جاتا

 

Kash main Door e Payambar main Uthaya jata

Bakhuda Qadmoon main Sarkar ke paya jata

Sath sarkar ke gazhwaat main shamil hota

Un ki nusrut main lahu mera bahaya jata

Kash Main...

Rait ke zaroon main Allah Badal deta mujhay

Phir mujhy Rahe -e- Muhammad main bichaya jata

Kash main..

Khak ho jata main sarkar ke qadmoon ke taley

Khak ko khak-e-madina main milayaa jaata

Kash main..

Mil ke sab log mujhy mitti se ghara ker dain

Phir mujhy masjid-e-nabvi main lagaya jata

Kash main..

Kash ah kash main hota koi ase lakrhii

Jis ko sarkar ke member main lagaya jata

Kash main..

Un ke rozay ke dar o Bam sajhanay ke liya

Rozano main mere ankhon ko lagaya jata

Kash main..

Laya jata darbar main asseroon ki tarah

Hukam per main un ke azad karaya jata

Kash main..

Utarta main kise naat ke misray ban ker

Rooh baruh un ke main un ko he sunaya jata

Kash main..

Hoty us door ka qisa koi Noor-O-Farhan

Aj ke door main bachon ko parhaya jata

Kash main Door e Payambar main Uthaya jata

Bakhuda Qadmoon main Sarkar ke paya jata

 

Beautiful naat is recited by Farhan Ali Waris.

Farhan Ali Waris

Also known as: Farhan Ali

17 Uploads . 27.7K Profile Views

View profile