Karam Aaj Bala-e-Baam Aa Gaya Hai

Karam Aaj Bala-e-Baam Aa Gaya Hai by Salman Konain Shah Naat Sharif

25,719 views   |   174 downloads   |   Published on September 25, 2018


Download 174 Published by Humaira Naseem

Favourite
About Karam Aaj Bala-e-Baam Aa Gaya Hai

Artist: Syed Salman Kounain Shah

Naat Lyrics:

Karam aaj Bala-e-Baam aa giya hai

Zuban per Muhammad ﷺ ka nam a giya hai
 
Droodon ke barish hai qono makaan per
Ke aaj Anbiyaa ka Imam a giya hai
 
Jahan chir giya ziker e Shah e Madina
Laboon per Darood o Salam a giya hai
 
Mujhay mil gaye donu alam ke shahi 
Mera un ke mangatoon mein nam a giya hai
 
Mere pas kuch bhi na tha roz e Mehsher
Nabi ka wassila he kaam agiya hai
 
Maza tab hai Sarkar mehsher mein keh dain
Wo daikho hamara gulaam a giya hai
 
Karam aaj Bala-e-Baam aa giya hai
Zaban per Muhammad ﷺ ka nam a giya hai

Syed Salman Kounain Shah

Also known as: Salman Konain

57 Uploads . 16.3K Profile Views

View profile