240,329 views | 13,996 downloads | Published on May 20, 2018
Zulf E Sarkaar se jab chehra nikalta hoga
Phir bhala kaisay koi chaand ko taakta hoga
Eh Haleema yeh bata, tu ne to dekha hoga
Kaisay tujhse mera mehboob lipaat-ta hoga
Jab Kabhi ap andheray main nikalty hon gayen
Shab E Tareek main khurshid chamakta hoga
Raaz chanda ke haseen honay ka ab main samjha
Khak E dar ap ki wo moo pe jo malta hoga
Kitne khushbakht hain taibaa ki wo galiyaan dekho
Jab bhi mehboob wo ban than ke nikalta ho ga
Mujh ko maloom hai taibaa se judaie ka asar
Sham ko shamas bhi rota huwa dhaltaa ho ga
Zulf E Sarkaar se jab chehra nikalta hoga
Phir bhala kaisay koi chaand ko taakta hoga