Mark Favourite function is updated. please check-out!
About Ya Rab tere Mehboob Ka Jalwa Nazar Aye
Artist:
Muhammad Owais Raza Qadri Attari
Ya Rab tere Mehboob Ka Jalwa Nazar Aye, listen online and download mp3 naat in the voice of Owais Raza Qadri. Read naat lyrics of Ya Rab tere Mehboob Ka Jalwa Nazar Aye.
Ya Rab Tere Mehboob Ka Naat Lyrics
Ya Rab Tere Mehboob Ka Jalwa Nazar Aye
Us noor-e-mujassam ka sarapa nazar aye
Ah kash kabhi aisa bhi ho khawab mein mery
Hoon jis ki gulami mein wo aqaa nazar aye
Ta Hashr mere qabr mein ho jaye ujala
Markad main jo un ka rukh-e-Zaiba nazar aye
Jis dar ka banaya hai gadah mujh ko Ilahi
Us dar pe kabi kash yeh mangta nazar aye
Roshan rahen ankhien yeh mere bad-e-fana bhi
Ager waqt-e-nazah wohi Shah-e-wala nazar aye
Kis ankh ne dekhi hai misaal Un ki Jahan mein
Sarkar tu konian mein yaksaan nazar aye
Kaaba ae Riyaz us ko bana ln ga main dil ka
Ager naqash-e-qadam mujh ko Nabi ka nazar aye
Ya Rab Tere Mehboob Ka Jalwa Nazar Aye
Us noor-e-mujassam ka sarapa nazar aye