Ya Nabi Dekha Ye Rutba Aap Ki Nalain Ka Naat by Hooria Faheem
Audio

Ya Nabi Dekha Ye Rutba Aap Ki Nalain Ka Naat by Hooria Faheem

Hooria Faheem Qadri Hooria Faheem
20.4K 2,405 Download
Published on Mar 3, 2019 · Naat MP3 · Published by Humaira Naseem
Favourite

About Ya Nabi Dekha Ye Rutba Aap Ki Nalain Ka

Ya Nabi Dekha Ye Rutba AAP ki Nalain Ka, a very beautiful urdu naat in the beautiful voice of female naat khawan Hooria Faheem. Read naat lyrics of Ya Nabi Dekha Ye Rutba

Ya Nabi Dekha Ye Rutba Naat lyrics

Ya Nabi dekha yeh rutbah ap ki nalain ka

Arsh ne chooma hai talwa ap ki nalain ka

 

Ap ke talwon ki narmi Qalb per mehsoos ki

Mein ne jab bhi naqsh dekha ap ki nalain ka

 

Ya Nabi dekha yeh rutbah..

 

Ap ki khidmat ka mujh ko kash mil jata sharaf

Bandhta hathon se tasmah ap ki nalain ka

 

Ya Nabi dekha yeh rutbah..

 

Roz e Mehshar sar pe suraj jab sawa naizay pe ho

Ek naizay per ho saya ap ki nalain ka

 

Ya Nabi dekha yeh rutbah...

 

Hashr mein jab log choomay ap ka dast-e-karam

Sab se chup kar ln mein bhosa ap ki nalain ka

 

Ya Nabi dekha yeh rutbah...

 

Taj-war kyuin na bheek mangay ap kay nalain ki

Taj-war khatay hain sadqa ap ki nalain ka

 

Ya Nabi dekha yeh rutbah ap ki nalain ka

Arsh ne chooma hai talwa ap ki nalain ka

Hooria Faheem Qadri

Hooria Faheem Qadri

Also known as: Hooria Faheem

128 uploads · 173.2K profile views

View profile

Qaseeda Burda Shareef OST Ittehad Ramzan by Momina Mustehsan

Momina Mustehsan