Tajdar E Haram Ho Nigah E Karam
Audio

Tajdar E Haram Ho Nigah E Karam

Published on Oct 14, 2018 · Naat MP3 · Published by Humaira Naseem
Favourite

About Tajdar E Haram

Tajdaar  E Haram ho Nigah E Karam Lyrics

Tajdaar  E Haram ho Nigah E Karam

Hum Gareeboon ke din bhi sanwar jayen gayen

Haami-E-Bekassan, Kiya kahie ga Jahan

Ap ke dar ke khali se ager jayen gayen

Khoaf-E-Tofaan hain Andhioon ka hai gham

Sakht Mushkil hai aqa Kidar Jayen hum

Ap bhi ager na lain gayen hamare khabar

Hum musibhat ke mare kidar jayen gayen

Dar pe Saqi-E-Kosar ke peene Chalain

Mehkashoon aoo aoo Madina Chalain

Yad rakho ager uth gaye ek Nazar

Jitne khali hain Jam sab bhar Jayen gayen

Tajdaar  E Haram ho Nigah E Karam

Koi apna nahi gham ke maray hain hum

Ap ke dar pe fariyaad laye hain hum

Ho Nigah E Karam warna chookhat pe hum

Ap ka nam le le ker mar jayen gayen

Tajdaar  E Haram ho Nigah E Karam

Ap ke Dar se koi na khali gaya

Apne Daman ko bhar ke sawali gaya

Ho Habib-E-Hazin par gaye aqaa nazar

Warna Auraq-E-Hasti bikhar jayen gayen

 

 

Syed Fasihuddin Soharwardi

Syed Fasihuddin Soharwardi

Also known as: Fasihuddin Soharwardi

230 uploads · 358.9K profile views

View profile

Qaseeda Burda Shareef OST Ittehad Ramzan by Momina Mustehsan

Momina Mustehsan