59,655 views | 684 downloads | Published on July 14, 2018
Saaye mein Tumhare hain qismat yeh hamari hai
Qurbaan dil-o-jaan hain kiya Shan Tumhari hai
Kiya pesh karun Aaqa kiya chez hamari hai
Yeh dil bhi tumhara hai yeh jaan bhi tumhari hai
Chehra Tera dilkash hai Surat teri piyari hai
Jis ne tumhen dekha ha soo jaan se wari hai
Hum chor ker is Dar ker jayen tu kahan jayen
Yeh umer tumhare he tukhron pe guzaari hai
Kiya pesh karun jana kiya chez hamari hai
Tum hum per karam ker do yeh arz hamari hai
Saaye mein Tumhare hain qismat yeh hamari hai
Qurbaan dil-o-jaan hain kiya Shan Tumhari hai