Mark Favourite function is updated. please check-out!
About Naimatain Bantata Jis Simt
Artist:
Muhammad Owais Raza Qadri Attari
Naimatain bantata jis simt wo Zeeshan giya, Sath he Munshi e rehmat ka qalam daan giya naat sharif by Owais Qadri.
Kalam written by Imam Ahmad Raza Khan​
Naat Lyrics
Naimatain bantata jis simt wo Zeeshan giya
Sath he Munshi e rehmat ka qalam daan giya
Le jald khabar ke ghairon ki taraf dhiyaan giya
Mera Maula mere Aaqa tere qurban giya
Dil hai wo dil jo teri yaad se mahmoor raha
Sar hai wo sar jo tere qadmon pey qurban giya
aaj le un ki panah aaj madad mang un se
Phir na manen gayen qayamat main ager maan giya
Jaan O Dil Hosh O Khurd sab tu Madine pohnchay
Tum nahi chaltay Raza sara tu saman giya
Naimatain bantata jis simt wo Zeeshan giya
Sath he Munshi e rehmat ka qalam daan giya