Main to Khud Unke Dar Ka Gada Hoon

Main to Khud Unke Dar Ka Gada Hoon MP3 Naat Sharif

27,172 views   |   2,316 downloads   |   Published on August 15, 2019


Download 2,316 Published by Humaira Naseem

Favourite
About Main to Khud Unke Dar Ka Gada Hoon

Artist: Unknown


ﻣﯿﮟ ﺗﻮ ﺧﻮﺩ ﺍﻥ ﮐﮯ ﺩﺭ ﮐﺎ ﮔﺪﺍ ﮨﻮﮞ ﺍﭘﻨﮯ ﺁﻗﺎ ﮐﻮ ﻣﯿﮟ ﻧﺬﺭ ﮐﯿﺎ ﺩﻭﮞ
ﺍﺏ ﺗﻮ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﮐﭽﮫ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﮯ ﻭﺭﻧﮧ ﻗﺪﻣﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ ﺑﭽﮭﺎ ﺩﻭﮞ

ﺑﮯ ﻧﮕﺎﮨﯽ ﭘﮧ ﻣﯿﺮﯼ ﻧﮧ ﺟﺎﺋﯿﮟ ﺩﯾﺪﮦ ﻭﺭ ﻣﯿﺮﮮ ﻧﺰﺩﯾﮏ ﺁﺋﯿﮟ
 ï»£ï¯¿ï®Ÿ ﯾﮩﯿﮟ ﺳﮯ ﻣﺪﯾﻨﮧ ﺩﮐﮭﺎ ﺩﻭﮞ، ﺩﯾﮑﮭﻨﮯ ﮐﺎ ﺳﻠﯿﻘﮧ ﺑﺘﺎ ﺩﻭﮞ

ﻣﯿﺮﮮ ﺁﻧﺴﻮ ﺑﮩﺖ ﻗﯿﻤﺘﯽ ﮨﯿﮟ، ﺍﻥ ﺳﮯ ﻭﺍﺑﺴﺘﮧ ﮨﯿﮟ ﺍﻧﮑﯽ ﯾﺎﺩﯾﮟ
ﺍﻥ ﮐﯽ ﻣﻨﺰﻝ ﮨﮯ ﺧﺎﮎِ ﻣﺪﯾﻨﮧ ﯾﮧ ﮔﻮﮨﺮ ﯾﻮﮞ ﮨﯽ ﮐﯿﺴﮯ ﻟﻮﭨﺎ ﺩﻭﮞ

ﻣﯿﺮﯼ ﺑﺨﺸﺶ ﮐﺎ ﺳﺎﻣﺎﮞ ﯾﮩﯽ ﮨﮯ ﺍﻭﺭ ﺩﻝ ﮐﺎ ﺑﮭﯽ ﺍﺭﻣﺎﮞ ﯾﮩﯽ ﮨﮯ
ﺍﯾﮏ ﺩﻥ ﺍﻧﮑﯽ ﺧﺪﻣﺖ ﻣﯿﮟ ﺟﺎﮐﺮ ﺍﻥ ﮐﯽ ﻧﻌﺘﯿﮟ ﺍﻧﮩﯽ ﮐﻮ ﺳﻨﺎ ﺩﻭﮞ

ﻗﺎﻓﻠﮯ ﺟﺎ ﺭﮨﮯ ﮨﯿﮟ ﻣﺪﯾﻨﮯ ﺍﻭﺭ ﺣﺴﺮﺕ ﺳﮯ ﻣﯿﮟ ﺗﮏ ﺭﮨﺎ ﮨﻮﮞ

Main Tou Un Ke Dar Ka Gada Hoon 

Apney Aaqa Kou Nazar Kiya Doon 

Abh Tou Ankhon Mein Bhi Kuch Nahi Hai 

Warna Qadmon Mein Ankhein Bichaa Doon

 Aaney Wali Hai Unki Sawari 

Phool Naimton Ke Ghar Ghar Saja Doon

Merey Ghar Mein Andhera Bht Hai

Apni Palkon Pe shamhein Jala Doon

Meri Jholi Mein Kuch Bhi Nahi Hai

Mera Sramaya Hai Tou Ye Hi Hai

Apni Ankhon Ki Chandi Baha Doon

Apney Maathey Ka Sona lotaa Doon

Merey Ansoo Bht Qeemti Hein

En Se Wabasta Hein Unki Yaadein

Unki Manzil Pe Khaak e Madina Pe 

Gohar Yoon Hi Lotaa Doon

Qafley Jaa Rahey Hein Madiney 

Aur Hasrat Se Mein Tak Raha Hoon

Ya Lipat Jaon Qadmon Se Un Ke

Ya Qaza Kou Apni Sadaa Doon

Mein Faqat Aapko Janta Hoon 

Aur Esi Dar Ko Pehchanta Hoon

Es Andherey Mein Kis Ko Pukaron

Aap Farmaen Kis Kou sada Doon?

Meri Bakhshish Ka Samaan Ye Hi Hai

Aur Dill Ka Bhi Arman Ye Hi Hai

Ek Din Unki Khidmat mein Jaa Kar

Unki Naatein Un Hi Kou Suna Doon 

Be Nighai Pe Meri Na Jaen

 Deeda War Merey Nazdeek Ahein

Mein Bas Yahein Se Madina Dikha Doon

Dakhney Ka Saleeqa Bata Doon

Unknown

Also known as: Unknown

1127 Uploads . 503.1K Profile Views

View profile