Main Madine Chala MP3 Naat By Owais Raza Qadri
Audio

Main Madine Chala MP3 Naat By Owais Raza Qadri

Muhammad Owais Raza Qadri Attari Owais Qadri
480.6K 98,479 Download
Published on May 13, 2019 · Naat MP3 · Published by Haroon Ishaq Qureshi
Favourite

About Main Madine Chala

Mein Madine Chala beautiful naat recited by Owais Raza Qadri. You can download all mp3 naats of owais raza qadri we have best collection of mp3 naats.

 

Download Urdu Lyrics of Main Madinah Chala

 

Main madinah chala, main Madinah chala

Phir karam ho gaya main Madinah chala

 

Kaif sa caha gaya main madinah chala

Jhoomta Jhoomta main madinah chala

 

Mere Aaqa ka dar hoo ga Paish-e-Nazar

Chaiye aur kiya main Madine chala

 

Ae shajar a hajar tum bhi shams-o-qamar

Daiikho daiikho zara main Madinay chala

 

Rooh-e-muztaar tehar tu nikalna udhar

Itni jaldi bhi kiya main Madinay chala

 

Haath uth’tay rahain mujhko daitay rahain

Woh talab se siwa main Madinah chala

 

Main madinah chala, mein Madine chala

Phir karam ho gaya main Madine chala

 

Noor-e-haq k Hazoor apnay saray kasoor

Bakhswanay chaala main Madinay chala

 

Mere Siddique Umar ho salam aap paar

Aur rehmat sadaa main Madinay chaala

 

Woh Baqeeh ki zameen jis k andar makeen

Mere Madani Zia main Madinay chala

 

Main madinay chala, main Madinah chala

Phir karam ho gaya main Madine chala

 

Gumbad-e-sabz pr jab pary gi nazar

Kiya suroor aee ga main Madinay chala

 

Un k minaar par jab paray gi nazar

Kiya suroor aee ga main Madinay chala

 

Minbar-e-noor par jab uthay gi nazar,

Kiya saroor aee ga main Madinay chala.

 

Unka gham chasham-e-tarr aur sauz-e-jigar

Ab touu daiy daiy Khuda (SWT) main Madinay chala

 

Dard-e-ulfat milay zauq barhnay lagay

Jab chalay Qafilaah main Madinay chala

 

Main madinay chala, mein Madinay chala

Phir karam ho gaya main Madinay chala

 

Kiya karega idhar bandh rakht-e-safar

Chal obaid-e-raza main Madinay chala

 

Kiya yeh tu ne kaha a Ubaid-e-Raza

Soch touu kuch zara main Madinay chala

 

Main tou bus yoon hi tha mare aukaat kiya

Qaafia ye mila main Madinay chala

 

Lutf touu jub milay mujh se murshid kahien

Chal Obaid-e-Raza main Madinay chala

 

Main madinay chala, mein Madinay chala

Jhoomta Jhoomta main Madinay chala

Muhammad Owais Raza Qadri Attari

Muhammad Owais Raza Qadri Attari

Also known as: Owais Qadri

375 uploads · 947.1K profile views

View profile

Qaseeda Burda Shareef OST Ittehad Ramzan by Momina Mustehsan

Momina Mustehsan