Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeda Namdeda by Owais Qadri
About Madine Ka Safar Hai
Madine Ka Safar Hai Naat Lyrics
Madine ka safar hai aur mein namdeeda namdeeda
Jabeen afsurda afsurda qadam laghzeeda laghzeeda
Chala hoon ek mujrim ki tarah mein janib e Taiba
Nazr sharminda sharminda badan larzeda larzeeda
Kahan mein aur kahan us Gumbhad e Khizra ka nazara
Nazar us samat uthhti hai mager duzdeda duzdeda
Kise ke hath ne mujh ko sahahra de diya warna
Kahan mein aur kahan yeh rastay pechida pechida
Tawaf e kooche e janaah ke qabil koun samjhay ga
Mera ehraam e hasti dekh ker boseeda boseeda
Meri dewanghi ki tum khudara laaj rakh lena
Tumhari anjuman mein hain sabhi sanjeeda sanjeeda
Madine ja ker hum samjhay taqdus kis ko khetay hain
Hawa pakeeza pakeeza faza sanjeeda sanjeeda
Wohi iqbal jis ko naaz tha kal khush mezaji per
Firaq e Taiba mein rehta hai ab ranjida ranjida
Madine ka safar hai aur mein namdeeda namdeeda
Jabeen afsurda afsurda qadam laghzeeda laghzeeda
Muhammad Owais Raza Qadri Attari
Also known as: Owais Qadri
375 uploads · 946.5K profile views
View profile