Aye Shafa e Umam Lillah Le Khabar Meri MP3 Download
Audio

Aye Shafa e Umam Lillah Le Khabar Meri MP3 Download

Published on Apr 4, 2018 · Naat MP3 · Published by Hafiz Rao Muhammad Arif attari
Favourite

About Lillah Le Khabar Meri

Recited by Arif Attari

Naat Lyrics

Aye Shafaye Umam Shahe Zee Jaah Le Khabar
Aye Shafaye Umam shahe zee jaah le khabar
Lillah le khabar meri lillah le khabar

Dariya ka josh naav na beda na naakhuda
Main dooba tu kaha hai mere shah le khabar

Manzil kadi hai raat andheri main na balad
Aye khizr Le khabar meri aye maah le khabar

Pahuche pahuchne wale to manzil magar shaha
Unki joh thak ke baithe sare raah le khabar

Jungle darindo ka hai main be yaar shab kareeb
Ghere hai chaar samt se bad khwah le khabar

Manzil nayi azeez juda log na shanaas
Toota hai kohe gham mein pare kaah le khabar

Woh sakhtiya sawaal ki woh surate muhib
Aye ghamzado ke haal se aagaah le khabar

Mujrim ko bargaahe adalat mein laaye hain
Takta hai be kasi mein teri raah le khabar
 
Ahle amal ko unke amal kaam aayenge
Mera hai kaun tere siwa aah le khabar

Purkhaar raah barhana pa tishna aab door
Maula padi hai aafate jaankaah le khabar

Bahar zabaane pyaas se hain aaftaab garm
Kauthar ke shah kath-tharahu-llah le khabar

Maana ki sakht mujrimo naakaara hai Raza
Teri hi to hai bandaye dargaah le khabar
 
Aye Shafaye Umam Shahe Zee Jaah Le Khabar
Aye Shafaye Umam shahe zee jaah le khabar
Lillah le khabar meri lillah le khabar

Hafiz Rao Muhammad Arif attari

Hafiz Rao Muhammad Arif attari

Also known as: Muhammad Arif attari

17 uploads · 4.7K profile views

View profile

Qaseeda Burda Shareef OST Ittehad Ramzan by Momina Mustehsan

Momina Mustehsan