Karam Aaj Bala e Baam Aa Gaya Hai Urdu Naat
About Karam Aaj Bala e Baam
Listen beautiful naat Karam Aaj Bala e Baam Aa Gaya Hai - Jab Zuban per Muhammad Sallallahu Alayhi Wasallam ka nam a giya hai in the voice of Alhaaj Owais Raza Qadri. Read naat lyrics of Karam Aaj Bala e Baam Aa Gaya Hai.
Naat Lyrics:
Karam aaj Bala-e-Baam aa giya hai
Zuban per Muhammad ï·º ka nam a giya hai
Droodon ke barish hai qono makaan per
Ke aaj Anbiyaa ka Imam a giya hai
Jahan chir giya ziker e Shah e Madina
Laboon per Darood o Salam a giya hai
Mujhay mil gaye donu alam ke shahi
Mera un ke mangatoon mein nam a giya hai
Mere pas kuch bhi na tha roz e Mehsher
Nabi ka wassila he kaam agiya hai
Maza tab hai Sarkar mehsher mein keh dain
Wo daikho hamara gulaam a giya hai
Karam aaj Bala-e-Baam aa giya hai
Zaban per Muhammad ï·º ka nam a giya hai
Muhammad Owais Raza Qadri Attari
Also known as: Owais Qadri
375 uploads · 946.2K profile views
View profile