Idhar Bhi Koi

Urdu Naat Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta by Manzoor Ul Konain

78,167 views   |   1,036 downloads   |   Published on September 28, 2017


Download 1,036 Published by Haroon Koraishy

Favourite
About Idhar Bhi Koi

Artist: Syed Manzoor Ul Kounain Shah

A very Beautiful Urdu Naat e Rasool Maqbool, Muhammad (صلی اللہ علیہ وسلم) recited by Syed Manzool Ul Konain Shah Sb.
This Naat is one of the master pieces from Konain Sb's Album Shahab e Rehmat

Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta
Idhar Bhi Nazar Be-Saharon Kay Waali

Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta..

Nigahon Main Hai Teri Bakhshish Ka Aalam
Kharay Hain Tere Darr Pe Tere Sawali

Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta..

Kabhi Ek Zaramay Main Thee Wajah e Nazish
Tere Naam Levaa-on Kee Shaan e Aali

Magar Ab tou Hai Ibratoon Ka Fasana
Hum Ahl e Museebat Kee Ashufta Haali

Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta..

Humai Phir Atta Ho Jalal e Abu Zarr
Humai Phir Innayat Ho Shan e Bilali

Damaktay Rahen Tere Gunbad Kay Jalway
Salamat Rahay Tere Rozay Kee Jaali..

Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta
Idhar Bhi Nazar Be-Saharon Kay Waali

Bajaa Hai K Hum Tashnighan e Karam Ka
Amal Kee Haqeeqat Se Daman Hai Khaali

Magar Ye Sharaf Bhi Koi Kam Nahi Hai
Teri Zaat Se Eik Nisbat Hai Aaali...

Jahan se Mili Thee Busiri Ko Chadar
Jahan Kaif Saamaan Thee Roh e Ghazali

Wahan Le Kar Aya hon Kalliyon Ke Gujjray
Wahan Le K Pohancha Hon Phoolon Kee Daal

Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta

Very Beautiful Naat e Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) by Syed Manzool Ul Konain Shah Sb.

کبھی اک زمانے میں تھی وجہ نازش تیرے نام لیواؤں کی شان عالی
مگر اب تو ہے عبرتوں کا فسانہ ہم اہل مصیبت کی آشفتہ حالی
 
ہمیں پھر عطا ہو جلال ابو ذر ہمیں پھر عنایت ہو شان بلالی
دمکتے رہیں تیرے تیرے گنبد کے جلوے سلامت رہے تیرے روزے کی جالی

 

Syed Manzoor Ul Kounain Shah

Also known as: Manzoor Ul Konain

109 Uploads . 86.0K Profile Views

View profile