Qurban Mein Unki Bakhshish Kay

Qurban Mein Unki Bakhshish Kay Syed Manzoor ul Konain Shah

135,290 views   |   2,977 downloads   |   Published on April 18, 2022


Download 2,977 Published by Humaira Naseem

Favourite
About Qurban Mein Unki Bakhshish Kay

Artist: Syed Manzoor Ul Kounain Shah

Listen beautiful naat Qurban mein unki bakhshish Kay in the voice of King of Naat Khawan Syed Manzoor ul Konain Shah Late. You can download this mp3 naat by clicking on download button.

Qurban Mein Unki Bakhshish Kay Naat Lyrics

Qurban main unki bakhshish kay maqsad bhi zuban per aya nahi
Bin mangy diya aur itna diya daman main hamary samaya nahi

Imaan mila un ke sadqey Quran mila un ky sadqy
Rehman mila un ke sadqy, woh kiya hai jo hum nay paya nahi

Qurban main unki bakhshish kay...

Main aap kahun rakh lejiya barham Lilaah karam Lilaah karam
Damaan e amaal neaki ka sarkar koi sarmayaa nahi

Qurban main unki bakhshish kay..

Us mohsin–e-azam k youn to Khalid pai hazaroon ehsaan hain
Qurban magar is ehsaan kay ehsaan bhi kiya to jataya nhi

Qurban main unki bakhshish kay maqsad bhi zuban per aya nahi
Bin mangy diya aur itna diya daman main hamary samaya nahi

Syed Manzoor Ul Kounain Shah

Also known as: Manzoor Ul Konain

109 Uploads . 85.8K Profile Views

View profile