Naat e Mustufa صلى الله عليه و سلم - Hum Madine se Allah kyun aagaye
About Hum Madine se Allah kyun aagaye
Ú¾Ù… مدینے سے Ø§Ù„Ù„Û Ú©ÛŒÙˆÚº Ø¢Ú¯Û“ قلب ØÛŒØ±Ø§Úº Ú©ÛŒ تسکیں وھیں Ø±Û Ú¯ÛŒ
Hum Madine Se Allah Kyion AaGaye Lyrics
Hum Madine se Allah kyun aa gaye
Qalb e Hairan ki tasqi wahi reh gayi
Dil wahi reh gaya jaan wahi reh gayi
Kham usi dar pe apni jabi reh gayi
Yaad aate hai humko woh Shaam o Sahar
Wo sukoon e dilo jaano rooho nazar
Yeh unhi ka karam hai unhi ki ata
Ek kaifiyate dil nashi reh gaya
Allah Allah waha ka Durood o Salaam
Allah Allah waha ka Sujood o Qayaam
Allah Allah waha ka wo Kaif e Dawaam
Woh salaat e sukoon afreen reh gayi
Jis jagah sajda rezi ki lazzat mili
Jis jagah har qadam unki rehmat mili
Jis jagah noor rehta hai Shaam o Sahar
Woho falak reh gaya wo zameen reh gayi
Zindagaani wahi kaash hoti basar
Kaash behzaad aate na hum lot kar
Aur puri huwi har tamanna magar
Yeh Tamanna e Qalb e Hazi reh gayi