Be Khud Kiye Dete Hain Andaz Hijabana

Be Khud Kiye Dete Hain Andaz Hijabana Naat Download

19,306 views   |   576 downloads   |   Published on March 12, 2019


Download 576 Published by Humaira Naseem

Favourite
About Be Khud Kiye Dete Hain Andaz Hijabana

Artist: Unknown

Listen online and download beautiful urdu naat Be Khud Kiye Dete Hain Andaz Hijabana recited by female naat khawan. Read naat lyrics of Be Khud Kiye Dete Hain Andaz Hijabana.

Bekhud Kiya Dete Hain Lyrics

Bekhud kiye dety hain andaaz hijabana
Aa dil main tujhay rakhloon ayh jalwa e janana
 
Itna tu karam kerna ah chasmna e kareemana
Jab jaan laboon per ho tum samne a jana
 
Aa dil main tujhay rakhloon...
 
Duniya ma jab tm ne mujhy apna bnaya hai
Tu mehshar ma be keh dena ye hai mera deewana
 
Sang e dar e Janaa per kerta hoon Jabeen
Sajda na samjh sar deta hoon nazrana
 
Aa dil main tujhay rakhloon...
 
Kyiun aankh milayee thi, kyiun aag lagayi thii
Aab rukh ko chupa baithay kar kay mujhay deewana
 
Aa dil main tujhay rakhloon...
 
Ji CHahta hai tofay main bejhun ma unhen ankhen
Darshan ka tu Darshan ho Nazranay Ka Nazrana
 
Aa dil main tujhay rakhloon...
 
Ke peene ko tu pee loon ga per shart zara se hai
Ajmair ka Saaqi ho baghdad ka mehkhana
 
Aa dil main tujhay rakhloon...
 
Be dam mere qismat hain sajday hain ise dar kay
Choota hai na chootay ga sang e dar e jananaa
 
Aa dil main tujhay rakhloon...
 
Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana
Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana

Unknown

Also known as: Unknown

1127 Uploads . 503.1K Profile Views

View profile