Aye Sabz Gumbad Wale Naat Shareef by Owais Qadri
About Aye Sabz Gumbad Wale
Aye Sabz Gumbad Wale -Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna
Ae Noor e Khuda aakar ankhoon mein sama jana
Ya dar pe bula lena ya khawab main aa jana
Ae parda nasheen dil ke parde mein raha kerna
Jab waqt e nazah aye deedar aata karna
Aie sabz gumbad walay manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna
Main qabr andheri mein ghabraoon ga jab tanha
Imdaad meri karnay aajana meray aaqa
Roshan meri turbath ko aie noor e Khuda kerna
Jab waqt e nazah aaye deedar ataa karna
Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna
Mujrim hoon jahaan bhar ka mehshar mein bharam rakhna
Rusva e zamana houn daman mein chupa lena
Maqbool yeh aarz meri lillah zara kerna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna
Muhammad Owais Raza Qadri Attari
Also known as: Owais Qadri
375 uploads · 947.7K profile views
View profile