32,289 views | 4,239 downloads | Published on September 10, 2018
Artist: Sarwar Hussain Naqshbandi
Ya Nabi sub karam hai tumhara, Yeh jo waray niyaray huwe hain
Ab kami ka tasuwar bhi kesay jb sy mangtay Tumhray huwe hain
Door huny ko hai ab yeh doori, un ki chokhat pay ho ge Huzoori
Khawab mein mujh ko Aqaa ke dar sy Hazri ke isharay huwe hain
Koi munh na lagata tha hum ko aur pas tak na bithata tha hum ko
Jb sy thama hai daman tumhra yeh duniya walay hamaray huwe hain
Unky darbar sy jab bhi mein ny Panjtan ke waseely se manga
Mujh ko khairaat foran mili hai khub mery guzaray hue hain
155 Uploads . 110.6K Profile Views
View profile