Sunehri Jaali

Sunehri Jaali Naat by Syed Zabeeb Masood Shah

21,187 views   |   224 downloads   |   Published on August 2, 2018


Download 224 Published by Humaira Naseem

Favourite
About Sunehri Jaali

Artist: Syed Zabeeb Masood Shah

Sunehri Jaali Naat Lyrics

Samne apne jo payun ga sunehri Jaali

Barh ke seenay se laga ln ga Sunehri Jaali

 

Kis tarah rokain gayen Khadim mujhy Dar bosi se

Apni ankhon se main chumun ga Sunehri Jaali

 

Qafilay walo chalo tum abhi main ataa hun

Ab bhi kuch dair dekhun ga main Sunehri jaali

 

Samna kasay karun ga main Shah-e-Wala ka

Aout se ashkon ke dekhun ga Sunehri Jaali

 

Muzhada Aqaa se jab tak na shafihat ka na payun

Tab talak nahi main chorun ga Sunehri Jaali

 

Koun se sheh hai haseen sare jahan se Nazish

Koi pochay ga tu keh du ga Sunehri Jaali

 

Samne apne jo payun ga sunehri Jaali

Barh ke seenay se laga ln ga Sunehri Jaali

Syed Zabeeb Masood Shah

Also known as: Zabeeb Masood

121 Uploads . 87.3K Profile Views

View profile