Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda

Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda Naat by Hooria Fahem

51,131 views   |   12,685 downloads   |   Published on August 30, 2018


Download 12,685 Published by Humaira Naseem

Favourite
About Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda

Artist: Hooria Faheem Qadri

Madine Ka Safar Hai Naat Lyrics

Madine ka safar hai aur mein namdeeda namdeeda
Jabeen afsurda afsurda qadam laghzeeda laghzeeda

Chala hoon ek mujrim ki tarah mein janib e Taiba
Nazr sharminda sharminda badan larzeda larzeeda

Kahan mein aur kahan us Gumbhad e Khizra ka nazara
Nazar us samat uthhti hai mager duzdeda duzdeda

Kise ke hath ne mujh ko sahahra de diya warna
Kahan mein aur kahan yeh rastay pechida pechida

Tawaf e kooche e janaah ke qabil koun samjhay ga
Mera ehraam e hasti dekh ker boseeda boseeda

Meri dewanghi ki tum khudara laaj rakh lena
Tumhari anjuman mein hain sabhi sanjeeda sanjeeda

Madine ja ker hum samjhay taqdus kis ko khetay hain
Hawa pakeeza pakeeza faza sanjeeda sanjeeda

Wohi iqbal jis ko naaz tha kal khush mezaji per
Firaq e Taiba mein rehta hai ab ranjida ranjida

Madine ka safar hai aur mein namdeeda namdeeda
Jabeen afsurda afsurda qadam laghzeeda laghzeeda

Hooria Faheem Qadri

Also known as: Hooria Faheem

128 Uploads . 160.2K Profile Views

View profile