Lo Khatam Hua Taiba Ka Safar MP3 Naat
About Lo Khatam Hua Taiba Ka Safar
Naat Lyrics
Lo Khatam huwa taiba ka safar dil wajd main hain Jaan wajd mein hai
Hai Gumbhad e Khizra pesh e nazar dil wajd main hain Jaan wajd mein hai
Parhti hai hawa Quran yahan karta hai wazu imaan yahan
Allah o gani ye kaif o asar dil wajd main hain Jaan wajd mein hai
Beatha hoon Nabi صلى الله عليه و سلم ke qadmoon mein, Sadiyaan simitti hain lamhon mein
Is hazri aur hazoori per dil wajd main hain Jaan wajd mein hai
Bujhti huwe ankhon ko le ker, hazir hon sabih mawaje par
Her manzar hai meraaj e nazar dil wajd main hain Jaan wajd mein hai
Lo Khatam huwa taiba ka safar dil wajd main hain Jaan wajd mein hai
Hai Gumbhad e Khizra pesh e nazar dil wajd main hain Jaan wajd mein hai
Syed Sabihuddin Sabih Rehmani
Also known as: Sabih Rehmani
65 uploads · 24.4K profile views
View profile