Khudai Rab Ki Nabi Ki Rehmat Waheed Zafar Urdu Naat
Audio

Khudai Rab Ki Nabi Ki Rehmat Waheed Zafar Urdu Naat

Qari Waheed Zafar Qasmi Waheed Zafar
151.4K 3,826 Download
Published on Jul 28, 2018 · Naat MP3 · Published by Humaira Naseem
Favourite

About Khudai Rab Ki Nabi Ki Rehmat

Listen online and download beautiful urdu naat Khudai Rab Ki Nabi Ki Rehmat recited by Qari Waheed Zafar Qasmi shab.

Naat Lyrics

Khudai Rab ki Nabi Sallallahu Alayhi Wasallam ki rehmat kahan nahi thi kahan nahi hai

Zameen ka aisa hai koi ghosha ke jis jagah asmaan nahi hai

 

Wo roshni ka safeer bhi hai Wohi Siraj e Muneer bhi hai

Nabi ki zaat ek diya hai aisa ke jis diya main dhuwan nahi hai

 

Adab se chalti Saba mile ge gali gali jaan fiza mile ge

Rasool e Akram Sallallahu Alayhi Wasallam ke gulistan main khizan ka nam o nishan nahi hai

 

Chalo madina chalo madina chalo madina

Zameen ke uper falak ke neche kahien bhi jayen amaan nahi hai

 

Hain behumar aaj bhi moezzan Imaam bhi unginat lakin

Imam koi Rasool Sallallahu Alayhi Wasallam jaisa Bilal (R.A) jaise Azaan nahi hai

 

Parho darood O Salam behjho Yahe tareeqa hai Raab ka logo

Jo waqt ziker e Nabi main guzray Qabool hai Raiygaan nahi hai

 

Jo dushmano ko mahf ker day jo gard zehanoon ki saf kar de

Khuda hai shahid bhi es jahan Hazoor sa mehrban nahi hai

 

Khudai Rab ki Nabi Sallallahu Alayhi Wasallam ki rehmat kahan nahi thi kahan nahi hai

Zameen ka aisa hai koi ghosha ke jis jagah asmaan nahi hai

 

Qari Waheed Zafar Qasmi

Qari Waheed Zafar Qasmi

Also known as: Waheed Zafar

185 uploads · 141.7K profile views

View profile

Qaseeda Burda Shareef OST Ittehad Ramzan by Momina Mustehsan

Momina Mustehsan