Daman Mera Bhara Hai

Daman Mera Bhara Hai Sarkar Kay Karam Say Naat Shareef by Khursheed Ahmed

108,858 views   |   1,716 downloads   |   Published on July 19, 2019


Download 1,716 Published by Humaira Naseem

Favourite
About Daman Mera Bhara Hai

Artist: Alhaaj Khursheed Ahmed Late

Daman Mera Bhara Hai Sarkar Kay Karam Say Naat sharif is recited by Khursheed Ahmed Late. Listen online mp3 or download audio naat shareef by clicking on download button. Read naat lyrics of Daman Mera Bhara Hai.

Daman Mera Bhara Hai Naat Lyrics

Daman mera bhara hai Sarkar Kay Karam Say
Sub kuch mujhay mila hai, sarkar ke karam se.
 
Sarkar kay karam pay, qurban kyun na jayoon
Har kaam ban gaya hai, sarkar kay karam say.
 
Mehfil mein aanay walay, youn kush naseeb hain sub
Sab ka bhala huwa hai, sarkar kay karam say,
 
Iss baat ka yakeen hai, girta nahin dubara
Jo bhi sanbhal gaya hai, sarkar ke karam say.
 
Aa ker hawaein khud hi karti, hain ab hifazat
Roshan mera diya hai, sarkar kay karam say.
 
Bigri banay wala, hota hai aik lamha
Lamha woh aagaya hai, sarkar ke karam say.
 
Aayi na kaam dolat, jisko mili ijazat
Taiba woh ja raha hai, sarkar kay karam say.
 
Sab hee kamal Taiba, jatay hain bari bari
Mujh ko bhi aasra hai, sarkar kay karam say.
 
Daman mera bhara hai Sarkar Kay Karam Say
Sub kuch mujhay mila hai, sarkar ke karam se.

 

Alhaaj Khursheed Ahmed Late

Also known as: Khursheed Ahmed

125 Uploads . 113.9K Profile Views

View profile