Bashir Kahiye Nazir Kahiye

Bashir Kahiye Nazir Kahiye Unhain Siraj-e-Muneer Kahiye Naat by Hooria Faheem

9,341 views   |   2,054 downloads   |   Published on March 19, 2019


Download 2,054 Published by Humaira Naseem

Favourite
About Bashir Kahiye Nazir Kahiye

Artist: Hooria Faheem Qadri

Bashir Kahiye Nazir Kahiye Unhain Siraj-e-Muneer Kahiye, Yeh Sab Tumhara Karam Hai Aqaa Ke baat Ab Tak Bani Huwe hai, a very famous urdu naat. Listen this beautiful audio naat in the voice of female naat khawan Hooria Faheem. Read naat lyrics of Bashir Kahiye Nazir Kahiye.

Bashir Kahiye Nazir Kahiye Naat Lyrics

Koi saleeqa hai aarzu ka, na bandagi meri bandagi hai

Yeh sab tumhara karam hai Aaqa ke baat ab tk bani hui hai

 
Kisi ka ehsan kyion uthaaye, kisi ko haalat kyion bataaye
Tumhain se maange ge tum hi do ge, tumhare dar se hi loo lagi hai
 
Atta kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
Mein iss karam ke kaha tha qabil, Huzoor ki banda parwari hai
 
Shoor o fikro nazar ke daire, hadd ka inse barh na paaye
Na choo saqe un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai
 
Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai
 
Bashir kahiye nazir kahiye, unhe siraje munir kahiye
Jo sar ba sar hai kalaam-e-Rabbi, woh mere Aaqa ki zindagi hai
 
Aamal ki mere asas kya hai, baajuz nadamat ke paas kya hai
Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai
 
Hai Kaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
Magar jo maqsood-e-aashqi hai, Huzoor ke dar ki haazri hai
 
Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
Nabi ka irfan zindagi hai, Nabi ka irfan bandagi hai
 
Yeh sab tumhara karam hai aaqa ke baat ab tak bani huwi hai

Hooria Faheem Qadri

Also known as: Hooria Faheem

128 Uploads . 160.4K Profile Views

View profile