Wo Kahan Main Kahan
About Wo Kahan Main Kahan
Rehmat e do jahan hami e bekasan
Shafi e ummatan wo kahan mein kahan
Rehbar e Rehbaran Sarwar e Sarwaran
Tajdaraa e shahan wo kahan mein kahan
Un ki khushboo se mehkay chaman dar chaman, Tazkaray ap ke anjuman anjuman
Chand ki chandi, taroon ki roshni, Un ke rukh se eyaan
wo kahan mein kahan...
Rehmat e do jahan hami e bekasan ...
Jumla mehboobian un ginaat khoobian
Ho sakein na biyaan wo kahan mein kahan
Ashiqon ke liya Tor e Seena bana, Un ke qadmoon se Yasrib Madina bana
Wo bulaien mujhay yaad ayen mujhy tu urh ke pohnchon wahan
Wo kahan main kahan..