Rah e Khuda Main Shouq Say

Published on Sep 3, 2019 · Video · Published by Usman Gul
Favourite

About Rah e Khuda Main

Rahe khuda main shouq se sar ko kata gaye hussain,
Haqq ke raza ke waste ghar ko loota gaye hussain

Nehze peh charr ke sarr balan kar gaye deen E mustafa,
Koshish kameyab se baat bana gaye hussain

Haqq ka alam liye outhe chaagaye qainaat parr,
deen ke doushmanon ka sarr neeche jhouka gaye hussain

Ansou lahoo ke aaj bhi rohti hai karbala ki khaak,
Zakhm har ik ke qalb mein kaisa laga gaye hussain

Ibne ali ki shaan kya touj se baya ho ey reeaz,
Jiss ki nahin misaal woh martabah pa gaye hussain

Syed Khalid Hussain Shah

Syed Khalid Hussain Shah

Also known as: Syed Khalid Hussain

34 uploads · 7.8K profile views

View profile

Qaseeda Burda Shareef OST Ittehad Ramzan by Momina Mustehsan

Momina Mustehsan