Haqeqat Main Wo
About Haqeqat Main Wo
Haqeeqat mein wo lutfe zindagi paya nahin karte
Jo yaade mustafa se dil ko behlaya nahin karte
Zabaan par shikwa-e-ranjo alam laya nahin karte
Nabi ke naam lewa gham se gabraya nahin karte
Are oh nasamaj kurban hoja unke roze par
Ye lamhe zindagi mein baar baar aaya nahin karte
Ye darbare muhammad hai yahan apno ka kya kehna
Yahan se hath khali gair bhi jaya nahin karte
Syed Sabihuddin Sabih Rehmani
Also known as: Sabih Rehmani
65 uploads · 24.4K profile views
View profile