Ya Nabi Salam Alaika

Ya Nabi Salam Alaika in Urdu MP3 Download

18,635 views   |   586 downloads   |   Published on August 17, 2019


Download 586 Published by Humaira Naseem

Favourite
About Ya Nabi Salam Alaika

Artist: Akhtar Hussain Shakargarh

Listen online and download a very beautiful and old Salam recited by three legends Syed Zabeeb Masood Shah, Syed Manzoorul Konain Shah and Akhtar Hussain Shakargarh.

Ya Nabi Salaam Alaika

Ya Rasool Salaam Alaika 

Ya Habib Salaam Alaika

Salawat ul Allah Alaika

Bakhsh Dou Jou Cheez Chaho Kun Ke Mehboob e Khuda Ho

Mustafa Ho Mujtaba Ho Jou Kahon Us Se Siwa Ho

Ya Nabi Salaam Alaika

Ya Rasool Salaam Alaika 

Ya Habib Salaam Alaika

Salawat ul Allah Alaika

Jaan Kani Ke Waqt Aana Kalma Taiba Parhana

Makr e Shaitaan Se Bachana Apney Daman Mein Chopana

Ya Nabi Salaam Alaika

Ya Rasool Salaam Alaika 

Ya Habib Salaam Alaika

Salawat ul Allah Alaika

Sadqa Hazrat Fatima Ka Aur Shaheed e Karbala Ka

Gham Na Ho Roz e Jaza Ka

Ya Nabi Salaam Alaika

Ya Rasool Salaam Alaika 

Ya Habib Salaam Alaika

Salawat ul Allah Alaika

Rehamaton Ke Taaj Waley Donon Jahan Ke Raaj Waley

Arsh Ki Mehraaj Waley Aasiyon Ki Laaj Waley

Ya Nabi Salaam Alaika

Ya Rasool Salaam Alaika 

Ya Habib Salaam Alaika

Salawat ul Allah Alaika

Jaan Kar Kafi Sahara Le Liya hai Dar Tumara

Khalq Ke Waris Khudara Lou Salaam Abh Tou Humara

Ya Nabi Salaam Alaika

Ya Rasool Salaam Alaika 

Ya Habib Salaam Alaika

Salawat ul Allah Alaika

Ae Shensha e Zamana aapka Ye Aastana

Rehamaton Ka Hai Khazana Ho Nigah e Meharbana

Ya Nabi Salaam Alaika

Ya Rasool Salaam Alaika 

Ya Habib Salaam Alaika

Salawat ul Allah Alaika

Ae Shensha e Madina Noor Se Mahmoor Seena 

Mushak Se Behtar Paseena Dakh Lein Hum Sab Madina

Ya Nabi Salaam Alaika

Ya Rasool Salaam Alaika 

Ya Habib Salaam Alaika

Salawat ul Allah Alaika

Asalaam Ae Sabz Gumbad Ke Makeen

Asalaam Ya Rehamt Ul Almeen

Asalaam Ae Sab Rasoolon Ke Rasool

Ye Salaam Aajzana Ho Qabool

Ya Elahi Wasta Aal e Rasool

Ye Salam e Aajzana Ho Qabool

Ya Nabi Salaam Alaika

Ya Rasool Salaam Alaika 

Ya Habib Salaam Alaika

Salawat ul Allah Alaika

 

Akhtar Hussain Shakargarh

Also known as: Akhtar Hussain Shakargarh

20 Uploads . 1.9K Profile Views

View profile