Khawab Mein Roza E Sarkar Nazar Aya Hai Urdu Naat
About Khawab Mein Roza E Sarkar
Syed Mehr Ali Shah recited this beautiful naat in a Naat Competition organized by team Havelian.net in havelian city.
Khawab Mein Roza E Sarkar Naat Lyrics
Khawab main roza e sarkar nazar aya hai
Meray ghr aj mera chand utar aya hai
Dil main ek jazbaa e sarshar ubhar aya hai
Yad jab bhi mujhy khawajha ka naghar aya hai
Chandni pheel gaye hai mere rooh o dil main
Jab tasuwar main madina ka qamar ayaa hai
Naat likhta hoon tu dil noor se bhar jata hai
yun mere kam bhout mera hunar aya hai
Mere aahoon ko madina se taseer
mere faryaad main taibaa se asar aya hai
nazar ata tu parechan o fusarda mazhar
rang chehray ka madina main nikhar aya hai
Khawab main roza e sarkar nazar ayaa hai
mere ghar aj mera chand utar ayaa hai