Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta

Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta Audio Naat by Alina Noor

5,714 views   |   214 downloads   |   Published on April 4, 2019


Download 214 Published by Humaira Naseem

Favourite
About Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta

Artist: Alina Noor

Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta, listen online mp3 audio urdu naat in the voice of female naat khawan Alina Noor. Read naat lyrics of Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta.

Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta Lyrics

Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta
Idhar Bhi Nazar Be-Saharon Kay Waali
 
Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta..
 
Nigahon Main Hai Teri Bakhshish Ka Aalam
Kharay Hain Tere Darr Pe Tere Sawali
 
Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta..
 
Kabhi Ek Zaramay Main Thee Wajah e Nazish
Tere Naam Levaa-on Kee Shaan e Aali
 
Magar Ab tou Hai Ibratoon Ka Fasana
Hum Ahl e Museebat Kee Ashufta Haali
 
Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta..
 
Humai Phir Atta Ho Jalal e Abu Zarr
Humai Phir Innayat Ho Shan e Bilali
 
Damaktay Rahen Tere Gunbad Kay Jalway
Salamat Rahay Tere Rozay Kee Jaali..
 
Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta
Idhar Bhi Nazar Be-Saharon Kay Waali
 
Bajaa Hai K Hum Tashnighan e Karam Ka
Amal Kee Haqeeqat Se Daman Hai Khaali
 
Magar Ye Sharaf Bhi Koi Kam Nahi Hai
Teri Zaat Se Eik Nisbat Hai Aaali...
 
Jahan se Mili Thee Busiri Ko Chadar
Jahan Kaif Saamaan Thee Roh e Ghazali
 
Wahan Le Kar Aya hon Kalliyon Ke Gujjray
Wahan Le K Pohancha Hon Phoolon Kee Daal
 
Idhar Bhi Koi Abre Rehmat Ka Cheenta

Alina Noor

Also known as: Alina Noor

77 Uploads . 7.8K Profile Views

View profile