Madine Ka Safar Hai

Madine Ka Safar Hai Naat Shareef By Siddique Ismail

44,271 views   |   30,046 downloads   |   Published on July 20, 2019


Download 30,046 Published by Haroon Koraishy

Favourite
About Madine Ka Safar Hai

Artist: Muhammad Siddique Ismail

Madine Ka Safar Hai Naat Shareef By Siddique Ismail. Download audio naat shareef Madine Ka Safar Hai free mp3. Read naat lyrics of Madine Ka Safar Hai. 

Madine Ka Safar Hai Naat Lyrics

Madine ka safar hai aur mein namdeeda namdeeda
Jabeen afsurda afsurda qadam laghzeeda laghzeeda

Chala hoon ek mujrim ki tarah mein janib e Taiba
Nazr sharminda sharminda badan larzeda larzeeda

Kahan mein aur kahan us Gumbhad e Khizra ka nazara
Nazar us samat uthhti hai mager duzdeda duzdeda

Kise ke hath ne mujh ko sahahra de diya warna
Kahan mein aur kahan yeh rastay pechida pechida

Tawaf e kooche e janaah ke qabil koun samjhay ga
Mera ehraam e hasti dekh ker boseeda boseeda

Meri dewanghi ki tum khudara laaj rakh lena
Tumhari anjuman mein hain sabhi sanjeeda sanjeeda

Madine ja ker hum samjhay taqdus kis ko khetay hain
Hawa pakeeza pakeeza faza sanjeeda sanjeeda

Wohi iqbal jis ko naaz tha kal khush mezaji per
Firaq e Taiba mein rehta hai ab ranjida ranjida

Madine ka safar hai aur mein namdeeda namdeeda
Jabeen afsurda afsurda qadam laghzeeda laghzeeda

Muhammad Siddique Ismail

Also known as: Siddique Ismail

51 Uploads . 51.0K Profile Views

View profile