162,112 views | 1,355 downloads | Published on February 4, 2018
Touseef e Nabi ï·º mein kho jayen, Hum aise basar din rat karien
Kuch un ki atta ka ziker karien, Kuch un ke karam ki batin karien
Sarkar talab se phele he daman talab bhar dety hain
Un ko tu gawara yeh bhi nahi hum un se bayan halat karien
Jab samne un ka Roza ho rooh un pe nishawar ho jaye
Mar mar ke jiyen jee jee ke marien qadmoon mein basar din rat karien
Un ke ghar ka taqadus ka kia khena us ghar ke adab ka kiya khena
Jis Dar pe zuban khamosh rahe aur ashk bayan halaat karien
Wo chahie ager tu zare ko khursheed bana dain Ah Khalid
Yeh un ke karam ki batin hain Kiya Un ke karam ki bat karien
Touseef e Nabi ï·º mein kho jayen, Hum aise basar din rat karien
Kuch un ki atta ka ziker karien, Kuch un ke karam ki batin karien